Script For AI: Boon or Bane

Introduction for Zakir (Anchor):

Namaste, Namaskar, Salaam... (1-second pause)... Swagat hai aap sabhi ka

humare naye podcast mein, "NO One Talks: The Unheard Thoughts," jahan

hum lekar aaye hain wholesome content ka ek naya aayam. Toh iss podcast ke

pehle episode mein hum baat karenge "AI: Ek varadaan ya abhishaap."

Lights dim, spotlight on the speaker.

Zakir (Anchor) : Good evening Ladies and gentlemen, Aaj hum bohot exciting

topic pe baat karne wale hain. Ab zara yeh sochiye - "AI, yaani Artificial

Intelligence, Humare jeevan ke har kaam ko asaan banata hai, lekin kya yeh

hume kisi tarah ka 'gulaam' bana raha hai?" Is sawaal ko jaanne ke liye aaj

yahaan hum dono taraf se vivaad karenge jahan ek taraf Ai ko vardaan maan

kar aur Ai ko Sraap maan kar

shuru karte hain pehle vardaan ke taraf se

Setting the Stage:

Speaker 2: (AI ko ek Vardaan Maan Kar)

Artificial Intelligence, Aaj hamare jeevan ka ek aang ban gaya hai.

Siri, Ok Google jaise virtual assistants se lekar advanced medical diagnosis tak,

AI Aaj-kal businesses ko transform kar rahi hai. aur hamare daily routines ko

improve kar raha hai. Maine medical ka example bataya waise hi abhi toh

Doctors GPT aagaya hai. Abb har ghar tiranga ke saath har ghar Doctors hoge.

Audience Laughs

Speaker 3 {Rude Character}: (AI ko ek Shaap Maan Kar)

Lekin mere Bhai, AI ke Fayede woh apne jagah pe....... Job displacement,

Piracy Breach, aur AI ko warfare ya surveillance mein galat istemal karne ke

Sankat hain...... Main khud ek Graphic designer hun aur mere Job ke Security

ko lekar kisine kuch kaha, toh maine usko Direct Ignore karunga! Kyunki

Midjourney jaise AI humare hi creative ideas ko.....at the level of pixels se Edit

karke result deta hain aur log pagal hokar ghum rahe hai iske piche.

Audience Silent for a sec.


Zakir (Anchor):Aur haan Jobs ko lekar yahan par mai ek point rakhna chaunga

like AI Jobs ko replace kar raha hai Hazaaro, laakho mai.. yeh samaj lo ki AI

woh jobs ko replace karega joh creative ho joh repeated hoga magr joh jobs ya

joh log AI ko Use karna sikhe sahi tarike mai uske jobs nhi replace hoge aur toh

uske salary ka hike hoga.


Exploring the Benefits:

Speaker 4: (AI ko ek Vardaan Maan Kar)

Chalo, Jaise Bhai/Bro ne kaha AI ke Shraap ko lekar...mai vardaan ka ek point

ko rakhna na chahunga AI ka productivity various sectors mein enhance karta

hai. Mainly In healthcare, AI can detect diseases earlier by improving patient

outcomes. “Aur ek baath bolu agar From now AI ko use kar na band karde na

most of civilians mare jaayenge....kyun.? Agar AI nhi hoga toh Budde-buzurg

ko yaad kon dilayega message bhej kar Health Checkup ke liye, Dawa lene aur

Khana khane arre.....Baath ko samjho yarr.


Audience Chuckles

Speaker 5: (AI ko ek Vardaan Maan Kar)

Jaise Education Sector ko lelo, India mai abhi apply hona shuru hua hai magr

Abroads mai AI-powered personalized Techniques aagaye Joh students ke

character ko learn karta hai aur Students ke hisaab se adapt karle ta hai. Aur

waise hi Homework, pracicals, activities aur bhi bohot kuch mai madat karta

hai aur reports bhi karta hai. India ko ek seekh milta hai iss cheez ko dekh kar

ki mai unnati rakhunga Joh Nep (National Education Policy) aa raha hai usmai

Apply hoga.

Audience Laughs

Challenges aur Concerns:

Speaker 6: (AI ko ek Shaap Maan Kar)


Lekin challenges bhi hain. Dar hota hai logo ko apne jobs ko lekar especially

joh 9 to 5 jobs jaane waale aur joh ek hi kam na kisi Creativity, Smartwork sirf

hardwork kiye jaa rahe hai yeh cheez ko Undekha nhi kar sakte. Hume

workforce ko upskill aur reskill karne ki zaroorat hai.

Audience Chuckles

Speaker 7: (AI ko ek Shraap Maan Kar)

Aur bhi dekha jaaye toh, Ai ko Galat tarike se istemal kiya ja sakta hai. Kuch

cases humne dekhe hai deepfake technology ke joh cheejen hai misinformation,

raising ethical concerns. Aur Aaj kal woh filmi villains se lekar politicians tak,

kisi bhi vyakti ko kisi aur mein badalne mein expert hai. “Abb joh WGA strike

aur Actors ka strike isilye toh chalra hai (brief summary of it.)

Ethical Dilemmas:

Speaker 8: (Discussing Ethical Concerns)

AI also raises ethical dilemmas. Who's responsible if an autonomous vehicle

causes an accident? Kaise ensure karenge ki AI algorithms biases se free hain?

(Any more suggestion of line can be accepted by speaker 8).

Balancing Act:

Speaker 9: (Finding Balance)

Toh, clear hai ki AI ek double-edged sword hai. Key point yahan par yeh hai ki

hum uske power ko kaise harness karte hain, Jo society par uska impact define

karega. AI sabse Accha bhi nhi hai aur khatarnak bhi joh usse Use karta hai

usko depend karta hain.

(Any more suggestion of line can be accepted by speaker 9).

Conclusion:

Speaker 10: (AI ko ek Vardaan aur Shraap Maan Kar)

Let's remember the incredible advancements AI has brought to our lives, from

healthcare to entertainment.

But let's also remain vigilant about the potential pitfalls, ensuring that AI serves

humanity and doesn't harm it.


Zakir (Anchor):

Aakhir mai Joh Sawaal Tha AI : Vardaan ya Shraap ko lekar woh jathil hai. Yeh

na toh bilkul accha hai aur na hi bilkul bura. It's how we harness its power that

will define its impact on society.

Zakir (Anchor): Thank you all for joining us today in this enlightening

discussion. The future of AI is in our hands, and together, we can steer it

towards being a true boon for all.


Lights up, applause from the audience.


Post a Comment